Rocksolid Light

Welcome to novaBBS (click a section below)

mail  files  register  newsreader  groups  login

Message-ID:  

Do not drink coffee in early A.M. It will keep you awake until noon.


arts / alt.language.urdu.poetry / Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "

SubjectAuthor
o Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "zahid malik Malik

1
Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "

<67be5774-1089-4345-ab2e-c310256ba833n@googlegroups.com>

  copy mid

https://www.novabbs.com/arts/article-flat.php?id=1950&group=alt.language.urdu.poetry#1950

  copy link   Newsgroups: alt.language.urdu.poetry
X-Received: by 2002:a05:6214:2f0d:b0:52d:7165:bbd2 with SMTP id od13-20020a0562142f0d00b0052d7165bbd2mr652666qvb.99.1672064118317;
Mon, 26 Dec 2022 06:15:18 -0800 (PST)
X-Received: by 2002:a25:ce46:0:b0:702:87ae:aa3 with SMTP id
x67-20020a25ce46000000b0070287ae0aa3mr2039947ybe.271.1672064117929; Mon, 26
Dec 2022 06:15:17 -0800 (PST)
Path: i2pn2.org!i2pn.org!usenet.blueworldhosting.com!feed1.usenet.blueworldhosting.com!peer02.iad!feed-me.highwinds-media.com!news.highwinds-media.com!news-out.google.com!nntp.google.com!postnews.google.com!google-groups.googlegroups.com!not-for-mail
Newsgroups: alt.language.urdu.poetry
Date: Mon, 26 Dec 2022 06:15:17 -0800 (PST)
In-Reply-To: <9ed6f7cf-0171-4af8-b1b5-ce4c4e178efd@googlegroups.com>
Injection-Info: google-groups.googlegroups.com; posting-host=202.5.155.8; posting-account=6_5wYAoAAAA4FBhPW5SGfaZOJnk9QX6c
NNTP-Posting-Host: 202.5.155.8
References: <8d4dca1d.0402101200.601949d4@posting.google.com> <9ed6f7cf-0171-4af8-b1b5-ce4c4e178efd@googlegroups.com>
User-Agent: G2/1.0
MIME-Version: 1.0
Message-ID: <67be5774-1089-4345-ab2e-c310256ba833n@googlegroups.com>
Subject: Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "
From: zahidmal...@gmail.com (zahid malik Malik)
Injection-Date: Mon, 26 Dec 2022 14:15:18 +0000
Content-Type: text/plain; charset="UTF-8"
X-Received-Bytes: 18691
 by: zahid malik Malik - Mon, 26 Dec 2022 14:15 UTC

On Friday, April 27, 2018 at 10:56:00 PM UTC-7, jala...@gmail.com wrote:
> On Wednesday, February 11, 2004 at 1:00:07 AM UTC+5, arzoo wrote:
> > Na qabil-e- faramosh
> >
> >
> > Choti si thi jab us ki ammi us kay haathoon ka piyala bana kay
> > kehtin " dua mango hum Allah miyan kay ghar phir say jain" aur wo
> > foran ankhain sakhti say meech kay hil hil kay is jumlay ki gardaan
> > karnay lagti ye janay baghair ke Allah miyan ka ghar kia hay ? kahaan
> > hay? kaisa hay?
> > paanch saal ki umar main usay to bas itna maloom tha ke is naey
> > shehar main us ki aik hi saheeli " gurya " thi jis ka ghar waisa hi
> > sabz rang ka hay jaisa ke us ki man pasand frok ka .
> >
> > thori bari hoey to kitab ho ya Tv jahaan bhi nazer ata Us ki ammi
> > foran kehtin " Sna , ye daikho ye hay Allah miyan ka ghar " wo la
> > parwahi say tasweer ko daikh kay apni ammi kay chehray ko daikhnay
> > lagti jahaan na janay kia hota ke wo sochnay lagti ke us ki ammi ko
> > ye ghar kitna pasand hay , akhir kioon?
> >
> > waqt kay saath saath is chotay say sawal main aur buhut say sawaloon
> > ka izafa hota gaia , her saal anay wali Baqr Eid pe Haj aur Qurbani
> > kay alfaaz aur muhallay main kisi Haji kay anay ya janay ki khabrain
> > ,Aur sab say barh kay , 9 zil haj ko us ki ammi ka TV daikhnay ka
> > ishteyaaq , jaisay us kay ander tajasus aur shauq ki chingaryaan
> > roshan karnay lagta.
> >
> > dasween kay imtehaan say farigh hoey to gurya kay saath mil kay
> > palmistry ka shauq paal liya ,ab bas her aik ka hath paker kay baith
> > jaati . pehlay apna phir gurya ka phir ammi papa ka , phir saari class
> > main sab larkyoon ka , aur kartay kartay khandaan main mashhoor ho
> > gaey . apnay tak aur larkyoon tak shughal laganay ki baat to usay bari
> > pasand thi laikin jab bhi wo apni khala bi kay ghar jati wo aik hi
> > sawal kartin " Sna baiti, a zara daikh mairay hath main Haj ki lakeer
> > hay ke nahi " us nay aaj tak kisi kitaab main Haj ki lakeer nahi parhi
> > thi laikin wo aisay hi natak kar kay keh daiti "haan khala bi buhut
> > bari lakeer hay Haj ki " aur phir khala bi hath khainch laitin aur
> > pursakoon si ho jatin. khala bi kay is sawal ki waja say us nay kaey
> > kitabain chaanin laikin Haj ki lakeer kahin nahi mili . phir usay
> > apni khala bi ki tarha kaey log milay jo yehi sawal kartay " mairay
> > haath pe Haj ki lakeer hay ?" us kay paas is ka jawaab kabhi na hota
> > . Haj ki lakeer kay muamay say tang aa kay us nay is shughal ko
> > khair baad keh diya .
> >
> > College main gaey to is jaisay dunya aur bhi rangeen ho gaey , Allah
> > miyan kay ghar ki bajaey ab wo hazaar tareekhi jaghoon aur dunya ki
> > bay shumaar ala shaan emaratoon kay baray main parhnay lagi .
> > imartoon kay isi shauq ki waja say wo architecture main masters
> > karna chahti thi , college kay trips ka silsila bhi chalta raha aur
> > saath hi saath us kay kamray ki deewarain mukhtalif emartoon kay
> > posters say bharti rahin . aaj bhi wo abhi taj mehal ka khoobsoorat sa
> > poster laga rahi thi ke ammi ki awaz aey " Sna , gurya aey hay ."
> > jaldi say kursi say neechay utri , gurya kay anays say pehlay aina
> > daikha aur kursi jagah per rakhtay hi , darwazay pe khari Nida ko
> > garam joshi say salam kiya aur kaha " aray waah , aaj to eid kara di
> > tum nay " us nay galay miltay hoay kaha. " w , salaam . main nay socha
> > kabhi kabhi achanak bhi ana chahyay , ziada khushi hoti hay " Nida
> > baig maiz pe rakhtay hoay boli." to kia ho raha tha , " " aray wah
> > jaisay tum nay daikha hi nahi , ye daikho " us nay taj mehel kay
> > poster ki taraf ishara kartay hoay kaha . " waao ...that's nice"
> > kahaan say mara hay ?" Nida nay paas jatay hoay poocha ." maara nahi
> > yaar, khareeda hay pooray 75 rupay main" " maira khiyal hay ke dunya
> > main sirf 7 ujoobay hain laikin tumharay kamray main to hazaroon
> > ujooboon ki tasweerain lagi hain " Nida nay saray kamray ki deewaroon
> > per lagi , Eharaam-e- misr , Eiphel tower, Peica tower, WTC, Deewar-e-
> > cheen , Room aur Spain ki purani emartain, China Aur Pakistan ki
> > Dhair saari mashhoor-o- maroof emartoon ki choti bari hazaroon
> > tasweeroon per aik nazer dauratay hoay kaha . "Acha hay na kam az
> > kam tumharay bhaey jaan kay saRay hoay shauq say acha hay na jinhoon
> > nay dunya bhar ki garyaan saja rakhi hain dewaroon pe" Sna nay ankh
> > martay hoay khushgawaar mood main kaha . " Acha to kia tum un say
> > muqabla karti ho ""Nida nay maanee khaiz nazroon say daikhtay hoay
> > poocha ." main kahan , wo kartay hain mujh say muqabla " Sna nay
> > nazrain churatay hoay kaha aur saath hi poocha . " waisay japan ja kay
> > to buhut khush hoon gay ab" Nida nay qadray udasi say jawaab diya "
> > haan teen saal bad aein gay engeenering ki degree mukamal kar kay "
> > Sna nay usay chutki kaati aur hanstay hoay kaha " Aur aik added brand
> > new japani gaari aur japani gurya lay kay" aur saath hi donoon
> > hansnay lagin.
> >
> > chaar saal ka arsa parhayi main . imtehanoon main aur dunya ki
> > emartoon ko sarahatay hoay kab guzra Sna ko pata bhi na laga . is
> > dauraan Nida ki shadi ho gaey aur khud us ka nikah Nida kay bhaey
> > Arsalaan kay saath ho gaia aur ab do mah baad wo rukhsat ho kay
> > halkay sabz rang kay man pasand ghar main janay wali thi . wo apnay
> > kamray ki dewaroon per say tasweerain utaar kay sanbhaal kay rakh
> > rahi thi ke us ki ammi nay daikha to poocha " Sna !! ye tum saath lay
> > jao gi kia" " haan ammi jaan ,, bhala ye main bhool sakti hoon ..maira
> > asaasa hain ye" us nay lambay say dibbay ko band kartay hoay kaha ."
> > tauba hay , bhala in emartoon main Allah jany tumhain kia nazer ata
> > hay , wahan bhi ja kay ye gand sajao gi dewaroon pe " us ki ammi nay
> > nagawari say kaha . " ammi jaan aap ki baiti Architect hay koey mazaaq
> > nahi ...in kay baghair ab mairi pehchaan nahi. " us nay baray fakher
> > say kaha." acha tum pe to junoon sa sawaar hay , suna hay Japaan main
> > aur bhi khoobsoorat emartain hain ," us ki ammi nay sochtay hoay kaha
> > " haan ammi Arsalaan bata rahy thay , bas mujhay wahaan janay dain
> > phir daikhna kaisay kaisay design karoon gi " , " Acha tumharay janay
> > kay baad hum tumhari chachi kay paas Jeddah ja rahay hain hain aur
> > wahaan umray karain gay aur Haj kar kay wapas aein gay " us ki ammi
> > nay bari khushi say bataia . Sna nay ammi ki ankhoon main chamak
> > daikhi to sochnay lagi ke ammi ko mairi rukhsati ka koey dukh nahi
> > laikin Haj ki kitni khushi hay.laikin saath hi usay ye baat
> > tasaleebakhs bhi lagi kam az kam ab usay ammi papa ki itni fikar nahi
> > rahy gi.
> >
> > do maah baad rukhsat ho kay wo chand haftay Sabz ghar main rahi aur
> > phir Arsalaan kay saath japan chali aey . yahaan sharoo kay kaey
> > maheenay wo arsalaan kay saath mukhtalif jaghain daikhti rahi . phir
> > Arslaan ki company ki taraf say aik tour main wo log Itally bhi gaey
> > aur France bhi .dunya ko daikhnay kay saath saath usay ammmi papa kay
> > phone atay rahay . " kabhi Makkah ki fizaoon kay baray , kabhi
> > khana kaaba ki tareef kartay hoay aur kabhi madeenay raunaq kay
> > baray...wo sochti us kay seedhay saadhay waldain inhi do jaghoon ko
> > daikh kay itnay khush hain yahaan aa kay aaj ki duyna ki taraqi
> > daikhain to shaid sab bhool jain.
> >
> > Shadi kay doosray hi saal Arsalaan nay aik din kaha " Sna , main
> > soch raha hoon is baar ammi dady ko Haj karwaoon ..tumhara kia khiyal
> > hay?" ...Haj kay naam pe jaisay ,,, wo sakit si ho gaey , phir boli "
> > haan kioon nahi , mujhay kia aetraaz ho sakta hay " phir maiz pe kisi
> > naqshay pe jhuk gaey. " mager maira khiyal hay ke Hum bhi jain ,
> > mauqa bhi hay aur ammi dady ko company bhi rahay gi " Arslaan nay
> > Sna kay haath say pencil pakartay hoay kaha. Sna ko aik dam kuch na
> > soojha , khoey khoey si boli" haan is say achi kia baat ho sakti hay
> > " .." bas phir tayari paker lo ", Arsalaan nay ghoom kay khushi say
> > kaha ... do mah baad wo Haj ki saari tayaroon kay saath jeddah
> > pohnchay jahan say Arsalan kay waldain ko saath liya aur haj kay
> > liyay rawana hoay .Sna aur Arsalaan nay Makkah jatay hoay dhair
> > saari kitaboon ko parha . Ehraam aur Haj kay saray arkaan ko
> > samjha . aur saas susar ki rahnumaey main Allahumma labaik parhtay
> > hoay hajyoon ki saf main shamil hoay.
> >
> > Masjid al haram say kaafi pehlay hi sarak pe chaltay hoay itnay
> > rash aur hujoom main Sna nay logoon kay chehroon pe ajeeb sa junoon
> > daikha , jaisay maqnatees lohay ko khainchta hay usay laga , sab log
> > kahin khichay chalay ja rahay hain. Allahuma labaik ka wird kartay
> > hoay wo zameen ko daikh kay chalnay lagi ke Arsalaan nay ishara kar
> > kay kaha "Sna ,samnay daikho" Sna nay daikha ..sufaid marbal ki
> > phaili hoaey emarat charoon taraf hajyoon ka hujoom aur fiza main
> > " Allahuma labaik kay wird kay jadoo main laal choocnhoon walay mast
> > kabooter , us kay rongattay kharay ho gaey aur qadam ruk gaey,
> > bait-Allah main usay buhut pehlay hi Allah ka jalaal aur shaan ander
> > tak mehsoos hoey .Arsalaan nay us ka haath dady ko thamaia aur khud
> > apni ammi ka hath paker liya . Bait-al haram main dakhil hoay to
> > jaisay logoon ka sailaab beh raha ho Sna ki nazer jaisay jhapakna
> > bhool gaey us kay samnay khana kaabah tha . kalay rang kay ghulaaf
> > main dhaka hoa , khoobsoorat Ayaat say muzayan , us ka dimaghjaisay
> > shal sa ho gaia ho , usay nahi yaad kab Dady nay usay paker kay
> > chalatay hoay tawaf main ghaseet liya. phir jaisay us sailab main wo
> > behnay lagi , dady nay usay yaad karaia ke tawaaf main kia tasbeeh
> > karni hay . laikin us ki nazer markaz say na hat saki . hajr-e- aswad
> > kay samnay dady kay kehnay pe takbeer -e- tehreema kahi aur phir
> > usi markez kay gird behnay lagi . usay nahi yaad zameen pe qadam lagay
> > ke nahi ? kitna fasla tay hoa ? kaisay hoa? bas aik ajeeb si baykhudi
> > si thi jis main say her baar dady ko usay nikalna parta . aur aglay
> > rukan kay liyay samjhana parta .
> > muqam-e- ibraheem kay baray bhi dady nay usay bataia warna usay to
> > yaad na rehta .
> >
> > tawaf kay baad saee kartay waqt bhi us ki nazer behak kay markaz pe
> > par jaati . too palatna bhool jaati . saee kay baad wo ammi kay saath
> > Zam zam ki taraf gaey . pehlay piyas bhujhaey phir zaiq mehsoos kiya
> > to usay laga ke nazer to paani ata hay laikin paani mehsoos kioon
> > nahi hota . koey nabeena aurat ankhoon pe laga rahi hay to koey apnay
> > bachy kay sir pe daal rahi hay . usay aik aik nal kay peechay
> > khawateen ki qatarain nazer ain . aik lamhay ko us nay socha lakhoon
> > ki taadaad main Haj aur aik Zam zam ka Kunwaan . aur phir hazaroon
> > saal purana . us kay rongattay phir kharay hoay . dimagh shal sa hoa
> > aur wo pagaloon ki tarah Zam zam kay paani kay cheentay monh pe
> > dalnay lagi. wo jaisay jaisay paani kay baray sochti rahi sirshaar
> > hoti rahi .wo to taqreeban poori bheeg hi chuki thi ke ammi nay kaha "
> > Sna , abhi kay liyay bas karo " kisi aur ki baari anay do." usay tab
> > ehsaas hoa ke usay to peechay khari ammi bhool hi gaey thin. wo
> > sharmindigi say jaldi say peechay hat gaey.
> > bait -al haram say mina jany lagay to bhi mur mur kay daikhti rahi .
> > Haj kay tamam manasik ada hotay rahay aur wo bhooli bhatki si
> > baykhaber si jaisay dunya bhool gaey ho. ammi dady aur Arsalaan ki
> > rah numaey na hoti to jaisay usay kuch soojhta hi na .maidaan
> > Araafaat main dhoop ki tamazet main nidhaal si kaifiyat main usay
> > mehsoos hoa . khali maidaan main kisi ala shaan emarat ka jadoo nahi
> > hay , aur sooraj ki hararat main rait kay zarray hain ya kuch pather
> > jo Allah ki tasbeeh biyan kartay hoay mehsoos ho rahy hain . darakht
> > aur insaan main abadat ka aik jaisa nasha tha jis kay agay Sna ko
> > kuch dikhaey na diya. kahan say peenay ko paani mil gaia , aur
> > kahaan say khanay ko khauraak kisi ko koey sar-o-kaar hi nahi jaisay
> > . Muzdalfa say kankaryaan uthatay waqt usay khiyal aaia ke ibadat
> > kay is hissay main kia lutf ho ga?
> > is sawal kay jawab main jab wo kankaryaan marnay gaey to daikha ke
> > jamaraat per kankaryaan aisay girrahi hain jaisay chakki main say
> > Aata . usay aur ammi ko Arsalaan aur dady aik jaga khara kar kay ,
> > aga gaey aur sab kay hissay ki kankaryaan maar kay aey . Sna ko
> > ajeeb sa shauq jaga , neechay giri hoey kankaryaan utha kay wo us
> > taraf phainknay lagi.
> >
> > ab tak ki saari riazat kay dauraan usay neend ka ehsaas buhut kam
> > hoa , usay lagta tha jaisay us ka dimagh soay hoay bhi jaag raha hay .
> > Mina main qayam kay waqt albatta usay neend nay a liya , thakan ka
> > ehsaas jaga ye shaitaan ko kankaryaan marnay kay baad ka sakoon tha
> > shaid . Eid kay din naha dho kay , qurbaani kay baad , sab nay aik
> > doosray ko Haj ki mubarak di aur phir madeenay ki taraf chalay .
> > . tawaf al wida keh kay jab wo rukhsat honay lagi to jaisay sakoon
> > ka lafz yahin chore kay ja rahi ho . wo ronay lagi , ansoon main usay
> > yaad aaia ke itna to wo apni rukhsati kay waqt bhi nahi roey thi. usay
> > apni ammi ki ankhoon ki wo chamak yaad aa gaey jis nay unhain apni
> > baiti ki rukhsati bhula di thi. wo ye soch kay muskaey aur shukranay
> > ki dua mangaty hoay us nay Madeena munawara say anay waali hawa ko
> > khushi say mehsoos kiya .
> >
> > masjid Nabwi ki hudood kab sharoo hoey Sna ko nahi maloom albatta
> > logoon kay bahao main chalti hoey wo jahan tak ander ja sakti thi
> > chalti gaey . thandi pursakoon fiza say jaisay thakay hoay hajyoon ka
> > massag ho gai aho aur wo phir say tar-o- taza ho gaey hoon.
> > masjid nabwi ki khoobsoorat naey tarz ki wasee emarat main hafta
> > bhar namazain ada kin aur rozana hi Us muqadas jaali ko daikhnay ki
> > hasrat barhti gaey. wahaan auratoon aur mardoon ka elehda intezaam
> > tha aur ziyarat kay makhsoos auqaat thay .phir aik din asar ki namaz
> > kay baad unhain mauqa mil hi gaia . wo sunherijalyoon ko daikhnay lagi
> > aur nazer ander tak na janay kia dhoondhti rahi . wahaan darood -o-
> > salaam ka zikar tha charoon taraf . log duain kar rahay thay nawafil
> > parh rahay thay . ammi kay kehnay pe nafal ada kiya aur darood parhany
> > lagi . aik konay main wo baithi logoon kay hujoom kay darmiyaan say
> > jalyoon kay ander chaey hoay sakoot ko mehsoos karnay lagi . us nay
> > ankhain band kar lin ke un kay kanoon main peechay baithi aik khatoon
> > ki hichkiyoon ki awaazain sunaey din. wo halka sa muri. ansoon say
> > nahaia hoa chehra , dua mangtay hoay kamptay hoay hath . kamptay hoay
> > alfaaz . us nay zara tairana nigah daali to saray alam ka yehi haal
> > tha . girgiratay hoey . roti hoey . jholyaan aur daman phailey hoey ..
> > mangti hoey dunya . us ka dil jaisay halaq main aa kay thehar gia ho.
> > aik lamhay ko usay kuch nahi soojha ke wo kia mangay ...phir jaisay us
> > ki ammi ki awaaz sunaey di " Sna dua mango. hum Allah miyan kay ghar
> > phir say jain " aur jaisay wo kam sin ban gaey ho aur hil hil kay
> > yehi dua mangti gaey .usay yaad aaia ke Khala bi Haj ki khawhish
> > liyay hi dunya say rukhsat ho gaey thin . ...khala bi kay chehray kay
> > saath usay kaey chehray yaad aa gaey aur wo un kay liyay dua mangti
> > gaey ...
> > madeenay ki pur- raunaq dukaonoon say khajoorain aur tasbyaan
> > khareedin kuch aur masjidoon ki ziaratain kin aur wapsi ki tayari
> > hoey . Haj kay chand dinoo main hi wo dhair saari tabdeeli kay saath
> > . wapas Jeddah aa gaey . jahaan say Zamzam ki saughaat liyay Ammi aur
> > dady kay saath Japan aa gaey.
> >
> > Yahaan sab ki mubarkain milin , zam zam aur khajoorain bantin . aur
> > dawtain khaein. kisi nay usay Hajan kaha aur kisi nay khushqismat .
> > Zindigi jaisay us ki ab sharoo hoey thi . namaz ki pabandi kay saath
> > us nay dunay ki nit naey taraqi yafta emaroon say mehzooz hona chore
> > diya tha . wo aik qabil Architect thi ghar ko naey siray say muzayan
> > kiya .us kay office main ab aik say barh kay aali shaan masajid kay
> > posters thay , yehi haal ghar ka bhi tha . masjid nabwi kay
> > mukhtalif zavyay haray balb ki roshni main ghar main dakhil hotay hi
> > rah daari ki dewar pe tatreeb say lagay thay. aur ghar kay darmiyaan
> > .living main bait al haram ka nihayat hi khoobsoorat model tha .
> > aur is kay elawa aisa buhut kuch tha jin kay samany dunya jahaan
> > ki Architecture ki dunya hairaan aur mabhoot reh jati hay. aur kion
> > na hoon akhir ye dunya per azal say abad tak zinda rehnay wali
> > lazawaal emartain hain . jo ke kabhi dunya ka history nahi kehlain
> > gi.
> >
> > teen saal ka arsa guzra , Sna ki baiti Eman chotay qadmoon say
> > bhagti hoey aey aur maan kay braber baith kay , us ki taqleed main
> > hil hil kay kuch mangny lagi . Sna nay us kay haath piyalay ki tarha
> > banaey aur kaha ke " Eman ... mangoo ke hum Allah miyan kay ghar
> > phir jain " ye keh kay Sna nay Eman ki hathaili ko daikha ...aur
> > halki si muskaan say socha ke Allah karay is kay haath main Haj ki
> > lakeer zaroor ho , amin.


Click here to read the complete article

arts / alt.language.urdu.poetry / Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "

1
server_pubkey.txt

rocksolid light 0.9.81
clearnet tor